Saturday 17 November 2012

Inspirational Shayari





Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki,
Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki,
Beshak apni manzil tk jana h,
Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki…
Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne
Abhi to sara aasman baaki hai…


Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona
Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona
Jahan chot khana wahan muskurana
Magar is ada se ke roye sara zamana…
`
Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye
Jindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye
Tharoge ek paav par to thak jaaoge
Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye..
`
Mushkile dilo ke iraade azmayegi
Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai smabhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi…

Duriyan he dilon ko nazdik lati hain
Duriyan he ek duje ki yaad dilati hain,
Dur hokar bhi koi kareeb hai kitna
Duriyan he is bat ka ehsas dilati hain…



No comments:

Post a Comment